mata-e-barg-o-samar wahi hai shabahat-e-rang-o-bu wahi hai khula ki is bar bhi chaman par giraft-e-dast-e-numu wahi hai hikayat-e-ishq se bhi dil ka ilaj mumkin nahin ki ab bhi firaq ki talkhiyan wahi hain visal ki aarzu wahi hai badal diye hain kisi ne afsun se kaam le kar tamam mohre ki sehar-e-imroz ke muqabil na main wahi hun na tu wahi hai zamin pe bahti hui ye aankhen falak pe rukte hue ye tare suna hai ye phul hain usi ke suna hai ye aabju wahi hai mah o sitara to aaine ke wajud se munharif hue hain magar teri chashm-e-mehrban ko charagh se guftugu wahi hai ulajh raha hai koi sitara tilism-e-istakhr-o-nainwa se ki rabb-e-ra ke muqable mein hua hai jo surkh-ru wahi hai bahut giran hai mere shab-o-roz par ye rang-e-visal 'sajid' magar wahi be-kali hai dil ki dimagh ko justuju wahi hai