saya jis ka nazar aata hai mujhe wo bhi saya nazar aata hai mujhe wo jo hota hi chala jata hai kuchh na hoga nazar aata hai mujhe chat jati hai nazaron ko nazar kya kahun kya nazar aata hai mujhe aaina phand gaya josh-e-junun bilkul aisa nazar aata hai mujhe har likha khama-e-danai ka aaj ulta nazar aata hai mujhe kya ghazab hai ki mara asl wajud aks mera nazar aata hai mujhe kya qayamat hai ki jata hua waqt idhar aata nazar aata hai mujhe kahin khushbu hai sunai deti kahen naghma nazar aata hai mujhe bij bas apne shajar hone ka ek irada nazar aata hai mujhe be-musafir hai safar pesh-e-nazar zehn goya nazar aata hai mujhe har guman ek haqiqat hai 'muhib' sach-much aisa nazar aata hai mujhe