matam bahut raha mujhe ashk-e-chakida ka aakhir ko pas aa hi gaya nur dida ka nam-firaq phir na liya main ne umr-bhar tha zaiqa zaban pe azab-e-chashida ka ab wo maza nahin lab-e-shirin ke qand mein chusa hua hai ye kisi khidmat-rasida ka ai charkh-e-pir-zor jawani se dar-guzar ab pas chahiye tujhe pusht-e-khamida ka abru mein kham jabin mein shikan aankh mein ghazab kya muddaa hai qatil-e-khanjar-kashida ka daulat gharaz na thi jo dua se hui husul tha aur muddaa mere dast-e-kashida ka ai sakinan-e-charkh-e-mualla bacho bacho tufan hua buland mere aab-dida ka wo na-tawaniyan hain ki jism-e-zaif par jama hai ankabut ke dam-e-tanida ka be-did did mein nahin aate kisi tarah gham aashiyan hai tair-e-rang-parida ka udte hain hosh koi bhala kis tarah sune afsana tere wahshi-e-az-khud-ramida ka o gul khayal hai araq-e-jism ka tere shisha hai dil hamara gulab-e-chakida ka yaad-e-nigah-e-mast se hai dil ko intishaar paimana hai kharab sharab-e-chakida ka qatil khuda se dar hawas-e-zabh ta-kuja nala na sun kisi ke gulu-e-burida ka masti ke walwalon ka jawani mein lutf hai piri mein dhyan chahiye qadd-khamida ka jalwe dikha raha hai ye farsh-e-zamurradin sabza mazar par hai giyah-e-damida ka chadhti hai roz chadar-e-gul jalte hain charagh ye dher hai zarur kisi barguzida ka baalon ko ai 'nasim' rangoge khizab se sak ko asa banaoge pusht-e-khamida ka