ye ruke ruke se aansu ye dabi dabi si aahen yunhi kab talak khudaya gham-e-zindagi nibahen kahin zulmaton mein ghir kar hai talash-e-dasht-e-rahbar kahin jagmaga uthi hain mere naqsh-e-pa se rahen tere khanuman-kharabon ka chaman koi na sahra ye jahan bhi baith jaen wahin in ki bargahen kabhi jada-e-talab se jo phira hun dil-shikasta teri aarzu ne hans kar wahin dal di hain banhen mere ahd mein nahin hai ye nishan-e-sar-bulandi ye range hue amame ye jhuki jhuki kulahen