mushkil mein raha wo bhi ki tadbir na tha main main khwab to tha us ka pe tabir na tha main yun bhi hua us ne mujhe sajdon se nawaza bad-bakhti se jis shakhs ki taqdir na tha main wo chhod gaya rah mein ye us ki raza thi waise bhi kisi panw mein zanjir na tha main is zauq-e-sukhan ne kiya ruswa-e-zamana pahle to tere raaz ki tashhir na tha main karta bhi to kaise meri pahchan zamana dukh aisa tha khud apni bhi taswir na tha main