matlab ki baat shakl se pahchan jaiye main kyun kahun zaban se khud jaan jaiye aae wo naza mein bhi na hasrat nikalne ab zer-e-khak le ke sab arman jaiye us bholi bholi shakl ke ho jaiye nisar un bholi bholi baaton ke qurban jaiye banhen gale mein daliye bhi ab hansi-khushi ye hai shab-e-visal kaha man jaiye kya tha jo muskuraate hue kah gae abhi khak aa ke mere dar ki zara chhan jaiye mehman-nawaz un sa koi dusra nahin ji mein hai un ke ghar kabhi mehman jaiye hai qasd aaj hazrat-e-dil un ki bazm ka allah aap ka hai nigahban jaiye ja baithiye tunuk ke zara mujh se phir alag be-kuchh kahe sune bhi bura man jaiye bad-yumn mere haq mein hai subh-e-shab-e-visal khole hue na baal pareshan jaiye kya tab hai 'riyaz' tumhaari zaban ki rangini-e-kalam ke qurban jaiye