wo ji gaya jo ishq mein ji se guzar gaya isa ko ho nawed ki bimar mar gaya aazad kuchh hue hain asiran-e-zindagi yani jamal-e-yar ka sadqa utar gaya duniya mein haal-e-amad-o-raft-e-bashar na puchh be-ikhtiyar aa ke raha be-khabar gaya shayad ki sham-e-hijr ke mare bhi ji uthen subh-e-bahaar-e-hashr ka chehra utar gaya aaya ki dil gaya koi puchhe to kya kahun ye jaanta hun dil idhar aaya udhar gaya han sach to hai shikayat-e-zakhm-e-jigar ghalat dil se guzar ke tir tumhaara kidhar gaya dil ka ilaj kijiye ab ya na kijiye apna jo kaam tha wo gham-e-yar kar gaya kya kahiye apni garam-rawi-ha-e-shauq ko kuchh dur mere sath mera rahbar gaya 'fani' ki zat se gham-e-hasti ki thi numud shiraaza aaj daftar-e-gham ka bikhar gaya