zindan-nasib hun mere qabu mein sar nahin mera sujud un ke liye mo'atabar nahin kya hai fareb nargas-e-ghammaz agar nahin be-wajh tu kashakash-e-qalb-o-jigar nahin taqsim-e-gul pe bahs anadil mein chhid gai gulzar lut raha hai kuchh us ki khabar nahin lazzat-shanas-e-gham ko hai izhaar-e-gham haram rota hun aur daman-e-mizhgan bhi tar nahin mere sujud-e-shauq se ho jae be-niyaz itna buland hausla-e-sang-e-dar nahin yun baghban ne himmat-e-parwaz chhin li aisi bhari bahaar hai aur ek par nahin tahsin-e-na-shanas ka bhuka nahin 'suhail' main aabru-farosh-e-mata-e-hunar nahin