nigah-e-shokh se jab shauq ka paigham aata hai hamein us dam khayal-e-gardish-e-ayyam aata hai wahi ek waqt hota hai jo apne kaam aata hai kabhi barson mein jab daur-e-bahaar-e-jam aata hai kahan aaram rakkha hai kahan aaram aata hai guzar jati hai subh-e-gham to waqt-e-sham aata hai khulus-e-dil ki apne qadr ho jis bazm mein hamdam wahin ja kar usul-e-zindagi bhi kaam aata hai mazaq-e-zindagi kya khak badlen aisi mahfil ka jahan har roz hum par ek naya ilzam aata hai meri nakaami-e-qismat tamasha kar dikhati hai labon tak jab kabhi mere khushi ka jam aata hai usi ko hum samajh lete hain apna sadgi dekho jo apne sath rah-e-shauq mein do-gam aata hai mere zulmat-kade mein tirgi badhti hai jab had se mera dagh-e-jigar ban kar charagh-e-sham aata hai ghanimat hai jo us ne yaad farmaya hai chal ai dil kahin us ki taraf se roz yun paigham aata hai meri mai-noshiyan pir-e-mughan ke dam se qaem hain karam hota hai jab us ka to mujh tak jam aata hai jise hai kaam 'ishrat se wo qaid-e-gham ko kya jaane samajhta hai wo qaid-e-gham jo zer-e-dam aata hai usi ki zindagi hai zindagi duniya mein ai 'khushtar' wahi insan hai insan jo sab ke kaam aata hai