mauj-e-gham is liye shayad nahin guzri sar se main jo duba to na ubharunga kabhi sagar se aur duniya se bhalai ka sila kya milta aaina main ne dikhaya tha ki patthar barse kitni gum-sum mere aangan se saba guzri hai ek sharar bhi na uda ruh ki khakistar se pyar ki jot se ghar ghar hai charaghan warna ek bhi shama na raushan ho hawa ke dar se udte baadal ke taaqub mein phiroge kab tak dard ki dhup mein nikla nahin karte ghar se kitni ranaiyan aabaad hain mere dil mein ek kharaba nazar aata hai magar bahar se wadi-e-khwab mein us gul ka guzar kyun na hua raat bhar aati rahi jis ki mahak bistar se tan-e-aghyar sunen aap khamoshi se 'shakeb' khud palat jati hai takra ke sada patthar se