mauj-e-saba rawan hui raqs-e-junun bhi chahiye khema-e-gul ke pas hi dajla-e-khun bhi chahiye kashmakash-e-hayat hai sada-dilon ki baat hai khwahish-e-marg bhi nahin zahr-e-sukun bhi chahiye zarb-e-khayal se kahan tut sakengi bediyan fikr-e-chaman ke ham-rikab josh-e-junun bhi chahiye naghma-e-shauq khub tha ek kami hai mutriba shola-e-lab ki khair ho soz-e-darun bhi chahiye itna karam to kijiye bujhta kanwal na dijiye zakhm-e-jigar ke sath hi dard-e-fuzun bhi chahiye dekhiye hum ko ghaur se puchhiye ahl-e-jaur se ruh-e-jamil ke liye haal-e-zabun bhi chahiye