rahe jo shab ko hum us gul ke sat koThe par

rahe jo shab ko hum us gul ke sat kothe par
to kya bahaar se guzri hai raat kothe par

ye dhum-dham rahi subh tak aha-ha-ha
kisi ki utri hai jaise baraat kothe par

makan jo aish ka hath aaya ghair se khali
pate ke chalne lage phir to hat kothe par

giraya shor kiya galiyan din dhum machi
ajab tarah ki hui wardat kothe par

likhen hum aish ki takhti ko kis tarah ai jaan
qalam zamin ke upar dawat kothe par

kamand zulf ki latka ke dil ko le lije
ye jins yun nahin aane ki hat kothe par

khuda ke waste zine ki rah batlao
hamein bhi kahni hai kuchh tum se baat kothe par

lipat ke soe jo us gul-badan ke sath 'nazir'
tamam ho gain hal mushkilat kothe par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close