reg-e-yakh-basta ko pahle aag par rakkha gaya phir hamare jism ko us ret par rakkha gaya jazba-e-ikhlas ki us ko saza aise mili umr-bhar wo pattharon se bandh kar rakkha gaya har taraf ek nur ka sailab sa jari hua neza-e-zulmat par suraj ka sar rakkha gaya zindagi ne ek pal bhi na diya mujh ko sukun meri qismat mein hamesha ka safar rakkha gaya ek muddat se hain viran qasr-e-dil ke taqche kyon charaghon ko jala kar taq par rakkha gaya khwab-e-shirin ki bashaarat di gai pahle mujhe aur phir aankhon ko meri baam par rakkha gaya kya banaega mujhe ye kuza-gar ko hai khabar aakhirash mitti ko meri khak par rakkha gaya mehr ko pahle hifazat par kiya mamur phir us rida-e-sabz par aab-e-guhar rakkha gaya jaane kitne aashiyan the rah mein us ki magar kyon hadaf par bijliyon ke mera ghar rakkha gaya dasht-e-jaan mein har taraf phaili hui thi tirgi aur jugnu ko hamare hath par rakkha gaya wo hansa aur hans ke us ne dal di apni sipar jab shikhandi jang mein sina-sipar rakkha gaya