mauja-e-gham mein rawani bhi to ho kuchh jigar ka khun-pani bhi to ho ranj surat ke badal jaane ka kya koi shai duniya ki fani bhi to ho gham mein rafta rafta masti aaegi kuchh dinon ye mai purani bhi to ho kijiyega sun ke kya rudad-e-gham kya kahun koi kahani bhi to ho kya taqabul meri jaulani se 'zeb' koi dariya mein rawani bhi to ho