zamin-e-ishq-o-wafa pe udti hikayaten bhi nai nahin hain lahu ki gardish mein raqs karti rifaqaten bhi nai nahin hain mohabbaton ke ye faisle to khuda-e-bartar ne likh rakhe hain kahan talak hum bachaen daman ye chahaten bhi nai nahin hain agarche dekhe hain zulf-o-lab ke hasin sapne to kya ghalat hai nazar ke kheton mein khwab bone ki hasraten bhi nai nahin hain bahaar aate hi yun laga ki chaman darida-dahan hua hai gulab-rut mein chaman pe nazil ye aafaten bhi nai nahin hain pata nahin kyun wo khush bahut hai fuzul masnad-nashin ho kar sagan-e-masnad ki fatehana himaqaten bhi nai nahin hain jhuki nazar se kalam kar ke asir kar le wo aashiqon ko nazar nazar mein nazar churane ki aadaten bhi nai nahin hain sanam ki ek ek ada pe 'zakir' nai ghazal ki hai kya zarurat shararten bhi nai nahin hain nazakaten bhi nai nahin hain