maujud hain wo bhi baalin par ab maut ka talna mushkil hai ik-tarfa kashakash naza mein hai dam ka bhi nikalna mushkil hai anjaane mein jo be-rah chale wo rah pe aa sakta hai magar be-rah chale jo danista bas us ka sambhalna mushkil hai zahir na sahi dar-parda sahi dushman bhi hifazat karte hain kante hon nigahban jis gul ke us gul ka masalna mushkil hai hain ishq ki rahen pechida manzil pe pahunchna sahl nahin raste mein agar dil baith gaya phir us ka sambhalna mushkil hai aaghaz-e-mohabbat mein 'ajiz' rukti na thi mauj-e-ashk-e-rawan anjam ab in khushk aankhon se ek ashk nikalna mushkil hai