wo jo chhup jate the kabon mein sanam-khanon mein un ko la la ke bithaya gaya diwanon mein fasl-e-gul hoti thi kya jashn-e-junun hota tha aaj kuchh bhi nahin hota hai gulistanon mein aaj to talkhi-e-dauran bhi bahut halki hai ghol do hijr ki raaton ko bhi paimanon mein aaj tak tanz-e-mohabbat ka asar baqi hai qahqahe gunjte phirte hain bayabanon mein wasl hai un ki ada hijr hai un ka andaz kaun sa rang bharun ishq ke afsanon mein shahr mein dhum hai ek shoala-nawa ki 'makhdum' tazkire raston mein charche hain pari-khanon mein