sar ko bachate ya dar-o-diwar bechte sar ki hifazaton mein kya dastar bechte shohrat ke mol khub lage shahr mein magar hum mohtaram kahan the jo kirdar bechte is kanpti zamin ne sab khak kar diya warna hum aarzuon ke minar bechte hota jo ikhtiyar mere hath mein to phir baste kharid late ye hathiyar bechte qanun ko jo 'sima' samajh lete aaj hum to bhuk aur jahl ke aazar bechte