naqd-e-dil hai ki gareban ke har tar mein hai hausla ab bhi bahut tere kharidar mein hai yan koi shoala-ba-jaan aur bhi thahra hoga kis qayamat ki tapish saya-e-diwar mein hai kitna milta hai mere qalb ki kaifiyyat se ye jo hangama tere kucha-o-bazar mein hai zakhm ehsas ko jo zahr hara hi rakkhe tegh-e-ahan mein nahin baat ki talwar mein hai sare gulshan ko jalane ke liye kafi hai ek shoala jo dil murgh-e-giraftar mein hai zamin nashw-o-numa-e-gul-e-tar hai ai 'dil' dard-mandi ki khalish si jo dil-e-khar mein hai