mausam-e-gul hai naqab-e-husn uth jaane ka nam hai nashat-e-jaan-o-dil us daur ke aane ka nam tang zehnon mein hai matam gardish-e-ayyam ka mahfil-e-hasti ko de rakkha hai gham-khane ka nam jab kabhi chhidta hai zikr-e-rasm-o-rah-e-ashiqi log lete hain adab se tere diwane ka nam un ki yaad un ka tasawwur un ka gham un ki khushi zindagi hai meri bas un mein hi kho jaane ka nam main agar nakaam hun nakaam rahne dijiye kya padi hai aap ko len rahm farmane ka nam har burai maslahat ke nam se hai ab rida de chuke hain log maqtal ko sanam-khane ka nam is mohabbat mein hain 'anjum' sainkadon dushwariyan soch kar lene kisi zalim ko apnane ka nam