nagri nagri ghum rahe hain ulfat ke diwane chand panw shikasta tan zakhmi hain hathon mein paimane chand jiti dhup sisakti aahen jehd-e-musalsal zakhm-e-dil hae re us mazdur ki haalat jis ki qismat dane chand aisa kal na dekha hum ne waise dekhe kal bahut maikhane mein sab hi pyase lekin hain paimane chand hum se ruth ke jaane wale apna tasawwur rahne de hum ne bune hain jiwan bhar mein khwab ke tane-bane chand han ai chaaragaro meri barbaadi ka saman karo khun-e-tamanna ki surkhi se saj jaen kashane chand gham ki tapish ne bahte aansu khushk kiye hain ai 'anjum' girya-e-shabnam gulshan gulshan phir bhi bharen paimane chand