mausam-e-gul mein bhi gul nazr-e-khizan hain sare mutmain koi nahin mahw-e-fughan hain sare hosh-mandi se qadam aage badhao logo apni jaanib hi khinche tir-o-kaman hain sare chahchahane ki sada aai thi kal tak jin se jaane kyon aaj wo khamosh makan hain sare sirf diwar ki unchai nazar aati hai ai mere shahr mere log kahan hain sare ab khuda khair kare qafila walon ki mere khoe khoe hue manzil ke nishan hain sare kitna dhundla diya haalat ne tum ko 'shauqi' jin ko tum abr samajhte ho dhuan hain sare