nasib mein hai judai to rona-dhona kya hai sari chiz parai to rona-dhona kya yahan to apne hi apnon ko mar dete hain hawa ne shama bujhai to rona-dhona kya usi ne hath badhaya tha dosti ke liye usi ne baat badhai to rona-dhona kya mere aziz hi jab mere munharif nikle hui khilaf khudai to rona-dhona kya hazar sal ke jab budhe mar gae 'shauqi' kamai chiz ganwai to rona-dhona kya