mausam-e-gul mein jo ghir ghir ke ghataen aain hosh ud jate hain jin se wo hawaen aain chal base su-e-adam tum ne bulaya jin ko yaad aai to gharibon ki qazaen aain ruh tazi hui turbat mein wo thandi thandi bagh-e-firdaus ki har su se hawaen aain main wo diwana tha jis ke liye bazm-e-gham mein ja-ba-ja bichhne ko pariyon ki ridaen aain munkir-e-zulm jo jallad hue mahshar mein khud gawahi ke liye sab ki jafaen aain mujrmon hi ko nahin zulm ka farman aaya be-gunahon ko bhi likh likh ke sazaen aain us ka diwana hun samjhati hain pariyan mujh ko sar phirane ko kahan se ye balaen aain tere bande hue ki jin se lagawat tu ne ai pari-ru tujhe kyunkar ye adaen aain hashr mauquf kiya josh mein rahmat aai zar nale ki jo har su se sadaen aain lashkar-e-gul jo gulistan mein khizan par umda sath dene ko pahadon se ghataen aain meri turbat pe kabhi dhup na aane pae sham tak subh se ghir ghir ke ghataen aain munh chhupane lage mashuq jawan ho ho kar nek-o-bad ki samajh aai to hayaen aain khak udane jo saba aai meri turbat par sar patakti hui rone ko ghataen aain bakhsh di us ne mere baad jo poshak meri qais o farhad ke hisson mein qabaen aain rahaten samjhe hasinon ne jo izaen din pyar aaya to pasand un ki jafaen aain aa gaya rahm use din sab ki muraden us ne aajizon ki jo sifarish ko duaen aain mere sahra ki ziyarat ko hazaron pariyan roz le le ke sulaiman ko razaen aain ai 'sharaf' husn-paraston ko bula ke luta in hasinon ke dilon mein jo daghaen aain