ye aarzu hain hum koi aarzu karte asir khud ko na hum dam-e-rang-o-bu karte itab-bin jo hamare hain nukta-chin hum par kahin jo milte to hum khul ke guftugu karte wo aaina jo kare harf-giri-e-kirdar jo hath aae to logon ke ru-ba-ru karte kahin suragh-e-khulus-o-wafa agar milta to apni zat ko hum waqf-e-justuju karte hum aaj ashk-ba-daman jo hain to rona kya tamam-umr hi guzri hai ha-o-hu karte misal-e-aina rakhte jo dil mein aks-e-jamil kabhi tabah na shishe ki aabru karte kharab hote kharabe mein aur kya hota huzur-e-saqi agar hum subu subu karte hamein bhi kash jo taufiq-e-aizdi hoti to hum bhi kausar-o-tasnim se wuzu karte yaqin jo hota ki honge halak sidq-o-wafa to ehtimam se marne ki aarzu karte hamein bhi ras jo aati shaguftagi dil ki to 'lais' hum bhi kabhi jurat-e-numu karte