mausam-e-gul sath le kar barq o dam aa hi gaya yani ab khatre mein gulshan ka nizam aa hi gaya wo nigah-e-mast uthi gardish mein jam aa hi gaya yani waqt-e-imtiyaz-e-khas-o-am aa hi gaya jo utha karte the izhaar-e-taqaddus ke liye un larazte kanpte hathon mein jam aa hi gaya nur o zulmat par tabassum kufr o din par qahqahe zindagi ko nashsha-e-umr-e-dawam aa hi gaya pasban karte rahe sargoshiyan hi aur kuchh un ki mahfil se ba-izz-o-ehtaram aa hi gaya jaane kin nazron se dekha aaj saqi ne mujhe main to ye samjha ki mujh tak daur-e-jam aa hi gaya ab isi ko zindagi kah lijiye ya subh-e-marg aankh kholi thi ki sar par waqt-e-sham aa hi gaya tark-e-mai ko muddaten guzri hain lekin mohtasib saqi-e-mehwash agar aatish-ba-jam aa hi gaya hae ye aalam ki ab tark-e-wafa ke baad bhi dil mein huk utthi na utthi lab pe nam aa hi gaya lazzat-e-rangini-e-ashaar kya kahiye 'shakil' kuchh na kuchh ahbab ko lutf-e-kalam aa hi gaya