yahan wahan ki bulandi mein shan thoDi hai

yahan wahan ki bulandi mein shan thodi hai
pahad kuchh bhi sahi aasman thodi hai

mere wajud se kam teri jaan thodi hai
fasad tere mere darmiyan thodi hai

mile bina koi rut hum se ja nahin sakti
hamare sar pe koi saeban thodi hai

ye waqia hai ki dushman se mil gae hain dost
mera bayan barae bayan thodi hai

karam hai mujh pe kisi aur ke jalane ko
wo shakhs mujh pe koi mehrban thodi hai

wo ham-khayal hai uslub us ka jo bhi ho
raqib hi to hai changez khan thodi hai

'shuja' shairi hoti hai zat ke bal par
meri kumak pe koi khandan thodi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close