talash jis nur ki hai tujh ko chhupa hai tere badan ke andar zuhur-e-alam hua usi se wo hai har ek jaan-o-tan ke andar tujhe ye be-sarfa jadd-o-kad hai kashakashi mein bhi shadd-o-mad hai nafas ki tujh ko agar madad hai safar hai is ja watan ke andar tujhe wahan se gurez o ram hai talash ab aahu-e-haram hai chala hai wo rah jo bharam hai, hai mushk-e-nafa khutan ke andar jahan mein sara hai nur tera har ek shai mein zuhur tera magar takhayyul hai dur tera pada hai bait-ul-huzan ke andar tu hi muhaqqiq tu hi mujaddid bana hai tu aap hi muqallid tu rasm-o-rah ka hua muqayyad phansa hai khud ma-o-man ke andar qadim viran-kada hai hasti samajh ise hai fana ki basti ye teri himmat ki sab hai pasti zubun hai dahr-e-kuhan ke andar ajib ahmaq hai aur sada sawar ho kar hua piyaada kidhar chala ye nahin hai jada tu kyun bhatakta hai ban ke andar ye aatish-e-ishq ki hai jiddat ki dil mein paida hui hai riqqat ye soz-e-gham ki mili hai lazzat maza hai dil ki jalan ke andar hua hai mast-e-sharab-e-gulgun akad raha hai wo sarw-e-mauzun dikha ke hum ko ye jam-e-wazun khajil kiya anjuman ke andar hua hai sarshaar wahm-e-'saqi' tujhe nahin shauq-e-wasl baqi hawa-e-duniya ka hai miraqi pada hai aawagawan ke andar