parda paDa hua tha KHudi ne uTha diya

parda pada hua tha khudi ne utha diya
apni hi marifat ne tumhaara pata diya

dar dar ki thokaron ne sharaf ko mita diya
qudrat ne kyun gharib ko insan bana diya

apne wajud ka bhi to koi subut ho
main tha kahan ki mujh ko kisi ne mita diya

allah re jabha sai-e-khak-e-harim-e-dost
bande ko banda sajde ko sajda bana diya

his murda thi hayat-e-musalsal mein zist ki
takhrib-e-zindagi ne payam-e-baqa diya

phir us ke ghar mein ho na saki raushni kabhi
jis ka charagh tu ne jala kar bujha diya

koi khushi khushi nahin apne liye 'shafiq'
kis ki nigah ne sabaq-e-gham padha diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close