pyara sa khwab nind ko chhu kar guzar gaya mayusiyon ka zahr gale mein utar gaya aankhon ko kya chhalakne se roka ghazab hua lagta hai sara jism hi ashkon se bhar gaya dekhe tah-e-charagh ghani zulmaton ke dagh aur main fuzun-e-kaif-o-masarrat se dar gaya tanhaiyan hi shauq se phir ham-safar huin jab nashsha-e-junun-e-rifaqat utar gaya kuche se bhi jo apne guzarta na tha kabhi kya soch kar utha tha ki jaan se guzar gaya mamuli hai ki subh jalata hun khud ko main hota ye hai ki roz sar-e-sham mar gaya ab jis ko jo samajhna ho samjha kare to kya 'rashid' tera sukut ajab kaam kar gaya