maut apni jaan ai dil gardish-e-aflak ko dubne ka khauf hai girdab mein tairak ko khud khajil ho jis ko raushan-dil se ho nahaq ghubar munh pe padti hai jo munh par phenkte hain khak ko mar gae par bhi tah-o-baala raha apna ghubar shisha-e-saat mein rakhte hain hamari khak ko basta-e-fitrak hote hain hazaron bulbulen jaan kar bab-e-gulistan halqa-e-fitrak ko kya ajab gar ustukhwan raushan hon dagh-e-ishq se ek sharar shola banata hai khas-o-khashak ko khub sa ji khol kar aawara kar ai ishq-e-yar khauf-e-ruswai nahin aslan dil-e-bebak ko hijr mein pita hun khun-e-dil mai-e-gulgun ki rang daur-e-saghar jaanta hun gardish-e-aflak ko kya nahin tazir milti hai gunah-e-ishq ki aatish-e-furqat jahannam hai dil-e-ghamnak ko kijiye nale ba-rang-e-bulbul ai dil gar kabhi tukde tukde misl-e-gul kar le teri poshak ko raund dala hai zamin-e-sher se ta-charkh-e-fikr rok le 'arsh' ab inan-e-tausan-e-chaalak ko