mujh ko mahsus hone laga hai khuda pahle jaisa nahin ye nahin mere kahne ka matlab ki jaisa hai achchha nahin kaise kaise na mabhut-kun sher nazil hue qalb par teri haibat ke shayan-e-shan ek misra bhi utra nahin chal fana ke safar mein yahi rakht hamrah le kar chalen is qadar mukhtasar zindagi mein to gham kharch hoga nahin yun mayassar ko hum ne muassir kiya khud ko behtar kiya warna bin tere hum the akele koi aur bhaya nahin raat bhar khwab mele se tabiren hum ne kharidin wahan bik raha tha wahi mal jis ko kabhi pahle dekha nahin mere ghar se nikalti to hai ek rah tere ghar ki taraf us pe pindar-e-hasti magar mere hamrah chalta nahin waqt pura hua chahta hai magar hum adhure abhi kho chuke hain tujhe aur khud ko abhi hum ne paya nahin