maut han bar-haq hai lekin zindagi fani kahan

maut han bar-haq hai lekin zindagi fani kahan
qissa-e-hasti ba-anjam-e-tan-asani kahan

aap ke sajde mein ruh-e-sajda ai 'mani' kahan
kash ye ehsas hota kham hai peshani kahan

mushkilon se ruh ko manus hona chahiye
zindagi dushwariyon hi mein hai aasani kahan

ai zulekha bartar-az-insaniyat ka zikr chhod
dard se begana rahna kar-e-insani kahan

tishna-e-maqsud dhokha hai jhalak ummid ki
sirf ek manzar sarab-asa hai ye pani kahan

kat di bistar pe angaron ke sari zindagi
ai tamanna is se badh kar koi qurbani kahan

manzil-e-hairat mein laya imtihan-e-tab-e-did
dekhiye le jaegi ab dil ki hairani kahan

kasrat-o-wahdat mein nisbat hai shua-o-shams ki
ek hi jalwa hai jalwon ki farawani kahan

mit ke mere ghar ki raunaq aalam-e-ibrat bani
dasht bhi viran hai lekin naf-e-virani kahan

aish-e-azadi kabhi milta to hota ranj-e-qaid
mustaqil jamiyat-e-dil hai pareshani kahan

ye faza-e-fikr ai 'mani' hai mearaj-e-sukhan
ab magar takhil mein wo barq-samani kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close