maut jab mere nazdik aane lagi zindagi phir mujhe kyon lubhane lagi ek tu kya gaya hai jahan se mere jo bhi thi aarzu sab thikane lagi khwab mein bhi bichhadne lage mujh se tum nind bhi aa ke mujh ko darane lagi tu to apni thi meri tujhe kya hua zindagi tu bhi ab aazmane lagi dhup par main koi tabsira kya karun chhanw bhi ab to mujh ko jalane lagi jab bhi tanhaiyan mujh pe hawi hui lafz kaghaz pe phir se sajaane lagi zindagi bhar koi sath deta nahin main 'siya' khud ko yun warghalane lagi