shab-e-gham aish ka muzhda sunane kaun aata hai ye mere aansuon mein muskurane kaun aata hai thahar sakta nahin sine mein jab dil muztarib ho kar sukun ban kar mere pahlu mein jaane kaun aata hai kuchal deti hai jab ehsas ko sanjidgi gham ki shararat se mera dil gudgudane kaun aata hai bhayanak tirgi mein gham ki jab dam ghutne lagta hai charagh-e-kushta-e-ishrat jalane kaun aata hai shab-e-gham dil pe chha jata hai jab ek huzn-e-be-khwabi nashat-e-ruh ban ban kar sulane kaun aata hai wafur-e-yas kar deta hai jab labrez-e-gham dil ko khushi ban kar mere dil mein samane kaun aata hai ajal ke tez qadmon ki jab aahat aane lagti hai ba-andaz-e-masihai sirhane kaun aata hai mera dil dubne lagta hai jab gham ke samundar mein meri kashti ko sahil se lagane kaun aata hai nazar aata hai jis mein ishrat-e-mazi ka mustaqbil mujhe is khwab-e-ghamgin se jagane kaun aata hai