nala-e-jaan-gudaz ne mara soz-e-ulfat ke saz ne mara ye kaha padh ke mera nama-e-shauq us sarapa niyaz ne mara munh se uff bhi to kar nahin sakte khauf-e-ifsha-e-raaz ne mara zindagi chain se guzarti thi chashm-e-nazzara-baz ne mara dad bhi shauq-e-did ki na mili jalwa-e-be-niyaz ne mara maut ki zad se bach gaya jo koi us ko umr-e-daraaz ne mara ungliyan har taraf se uthti hain turra-e-imtiyaz ne mara koi dam-saz koi hai jaan-baz aap ke saz-baz ne mara jis ke qabze mein hai masihai hum ko is tegh-e-naz ne mara kya bharosa kisi pe ho ai 'josh' dil ko ek dil-nawaz ne mara