mere dil ko shauq-e-fughan nahin mere lab tak aati dua nahin wo dahan hun jis mein zaban nahin wo jaras hun jis mein sada nahin na tujhe dimagh-e-nigah hai na kisi ko tab-e-jamal hai unhen kis tarah se dikhaun main wo jo kahte hain ki khuda nahin kise nind aati hai ai sanam tere taq-e-abru ki yaad mein kabhi aashna-e-tah-e-baghal sar-e-murgh-e-qibla-numa nahin ajab is ka kya na samaun main jo khayal-e-dushman-o-dost hai wo maqam hun ki guzar nahin wo makan hun ki pata nahin ye khilaf ho gaya aasman ye hawa zamane ki phir gai kahin gul khile bhi to bund se kahin husn hai to wafa nahin maraz-e-judai-e-yar ne ye bigad di hai hamari khu ki muafiq apne mizaj ke nazar aati koi dawa nahin mujhe zafran se zard-tar gham-e-hijr-e-yar ne kar diya nahin aisa koi zamane mein mere haal par jo hansa nahin mere aage us ko farogh ho ye majal kya hai raqib ki ye hujum-e-jalwa-e-yar hai ki charagh-e-khana ko ja nahin chalen go ki saikdon aandhiyan jalen garche lakh ghar ai falak bhadak utthe 'atish'-e-tur phir koi is tarah ki dawa nahin