paiham ek iztirab ajab khushk-o-tar mein tha main ghar mein aa ruka tha mera ghar safar mein tha kya raushni thi jis ko ye aankhen taras gain kya aag thi ki jis ka dhuan mere sar mein tha bas ek dhund khwabon ki fikr-o-khayal mein bas ek lams dard ka sham-o-sahar mein tha har ahd ko samete hue chal raha tha main nadida saaton ka ujala nazar mein tha har lamha tha talash ki sadiyan liye hue meri baqa ka raaz hi ilm-o-khabar mein tha