mauzu-e-suKHan himmat-e-ali hi rahegi

mauzu-e-sukhan himmat-e-ali hi rahegi
jo tarz nikalunga misali hi rahegi

ab mujh se ye duniya mera sar mang rahi hai
kambakht mere aage sawali hi rahegi

wo nashsha-e-gham ho ki khumar-e-mai-e-pindar
dil walon ke chehre pe bahaali hi rahegi

ab tak to kisi ghair ka ehsan nahin mujh par
qatil bhi koi chahne wali hi rahegi

main lakh ise taza rakhun dil ke lahu se
lekin teri taswir khayali hi rahegi

is dil pe thaharne ka nahin 'zeb' koi naqsh
ye aankh kisi rang se khali hi rahegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close