zindagi yun bhi kabhi mujh ko saza deti hai ek taswir kitabon se gira deti hai aap achchhe hain bure hain ki faqat bar-e-hayat faisla khalq-e-khuda khud hi suna deti hai kitne nadida manazir se uthati hai naqab raat aati hai to khwabon ko jaga deti hai ab bhi mehrab-e-tamanna mein kasak mazi ki sham hote hi koi shama jala deti hai ishq hai rog hi aisa ki nahin is ka ilaj aatish-e-dil ko dawa aur badha deti hai sina-e-sang mein poshida sada-e-farhad ek ek zarb pe shirin ka pata deti hai jis ki aaghosh mein hum roz mila karte the ab wahi sham har ek sham sada deti hai main kahan aur kahan sher-o-sukhan hai 'zakir' koi taqat hai jo lafzon ko jila deti hai