natija dekhiye kuchh din mein kya se kya nikal aaya kahin pe bij boya tha kahin paudha nikal aaya raqam hai jis pe mere aaba-o-ajdad ka shajara mere ghar ki khudai mein wahi katba nikal aaya suna hai aaj sab uryan nazar aaenge sadkon par main apne ghar se ban kar aaj na-bina nikal aaya kuchh aise zawiye se aaj suraj ne hukumat ki ke mere jism ke saye ka bhi saya nikal aaya asa jab hazrat-e-musa ne mara bahte pani par to pani phat gaya aur samne rasta nikal aaya ai sapnon ke parindon hijraton se rok lo khud ko meri aankhon ke registan mein chashma nikal aaya teri nazron ke auzaron ne mere jism-e-khaki ka jigar khoda to tute dil ka kuchh malba nikal aaya tu wo kam-zarf jo har dar pe daman ko pasare hai main wo khuddar jo dariya se bhi pyasa nikal aaya