muraqqa pahle apna aaina-KHane mein rakh dena

muraqqa pahle apna aaina-khane mein rakh dena
yahi aaina-khana dil ke kashane mein rakh dena

pas-e-murdan hamari lash mai-khane mein rakh dena
kisi ko uzr ho is mein to virane mein rakh dena

sharab-e-kaif-o-masti dil ke paimane mein rakh dena
ye paimana murattab ho to maikhane mein rakh dena

butan-e-mah-wash is ghar ki aksar sair karte hain
mera dil aur jigar bhi ja ke but-khane mein rakh dena

isi surat tumhaari bazm mein mil jaega rasta
mera arman-e-dil bhi apne parwane mein rakh dena

rahega kaif yun baqi rahega hosh yun saqi
ki mera qalb-e-muztar apne maikhane mein rakh dena

tumhein dekhun tumhaari har ada-e-husn ko dekhun
surur apna meri aankhon ke paimane mein rakh dena

namaz-e-ishq padhni hai buton ke panw par ja kar
jo saman-e-wuzu hai wo sanam khane mein rakh dena

fana ke baad kaisa imtiyaz-e-bagh-o-virana
hamein basti mein rakh dena ki virane mein rakh dena

khusha-qismat sunen wo aur qissa-khwan se main kah dun
ki ek tukda gham-e-furqat ka afsane mein rakh dena

ye mai-khana khuda-khana sanam-khana usi ka hai
nahin parwa 'umar' mujh ko kisi khane mein rakh dena


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close