mili hum ko rahat musibat ke baad ye din hath aaya hai muddat ke baad musibat nahin uthti rahat ke baad qayamat hai iflas sarwat ke baad main kahta hun chupke se ab pher do mera dil mujhe tum khayanat ke baad hai saqi ko shayad ki khauf-e-khuda pilata hai zahid ko hujjat ke baad bakhede hain sau zindagi mein to kya marahil hazaron hain rehlat ke baad rulaya rula kar hansaya mujhe ye shokhi to dekho shararat ke baad shab-e-hijr kahta hai roz-e-firaq phir ek hashr hai is qayamat ke baad dua hai meri dil se ye dam-ba-dam na ho subh-e-gham sham-e-ishrat ke baad zamane ne jo kuchh diya le liya milin talkhiyan bhi halawat ke baad ye qismat kahan ye muqaddar kahan ki phir roz-e-wasl aae furqat ke baad hai 'masud' pesh-e-nazar roz-e-hijr uthana pada ranj rahat ke baad