umr bhar aankhon ka darwaza khula rahna hi tha kab palat aae koi dhadka laga rahna hi tha jab khulus-e-dil na shamil ho to phir kaisa milap sath uthte baithte bhi masala rahna hi tha chahe hum koi jatan karte magar hona tha kya be-sabab tha jo khafa us ko khafa rahna hi tha khamushi se bhi mere dil mein kasak rahni hi thi aur kah kar bhi bahut kuchh bin kaha rahna hi tha apna rasta chhod ke jo chal pada auron ke sath wo agar rasta bhatakta rah gaya rahna hi tha rang bhi aakhir utarne mein to kuchh leta hai waqt husn aakhir husn tha jis ka nasha rahna hi tha kuchh nahin to kyun nahin kuchh bhi bina-e-ikhtilaf is liye bhi us ko hum se kuchh gila rahna hi tha pasdari jab qabile ke riwajon ki na ki phir to zahir hai qabile se juda rahna hi tha