maza lams ka be-zabani mein tha

maza lams ka be-zabani mein tha
ajab zaiqa khush-gumani mein tha

meri wusaton ko kahan jaanta
wo mahw apni hi be-karani mein tha

mitate rahe awwalin yaad ko
ki jo naqsh tha naqsh-e-sani mein tha

bahut der tak log sahil pe the
safina mera jab rawani mein tha

hamin se na aadab barte gae
saliqa bahut mezbani mein tha

mai-e-kohna mein tha nasha-dar-nasha
magar jo maza taza pani mein tha

hamein wo hamin se juda kar gaya
bada zulm is mehrbani mein tha

safar mein achanak sabhi ruk gae
ajab mod apni kahani mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close