sab un ka haal dekh rahe hain nazar se hum baithe hain is tarah se ki hain be-khabar se hum himmat se kaam le ke nigahen mila to len uljhan mein pad gae hain payam-e-nazar se hum udne laga hai phailta jata hai har taraf is daman-e-khayal ko pakden kidhar se hum dikhla diya jo aaj muqaddar ne us ka dar ek bojh tha utar chale apne sar se hum dil mein utar na aaen wo aankhon ki rah se dil ko bacha rahe hain khud apni nazar se hum rahen bhi band hain dar-e-taqdir bhi hai band us ke harim-e-naz mein jaen kidhar se hum hain aur kya irade tumhein is ki fikr kyon 'ejaz' puchh lenge usi fitna-gar se hum