ye hadse mere fan ko nikhaar bhi denge hayat ko nafas-e-shoala-bar bhi denge ye ungliyan ki jo raqsan hain saz-e-ishrat par hum un se kakul-e-giti sanwar bhi denge khizan-rasida ye ghunche ye khar-o-khas ya sumum chaman ko muzda-e-fasl-e-bahaar bhi denge payam-e-subh-e-masarrat kahan muqaddar mein kisi tarah jo shab-e-gham guzar bhi denge kuchh aur socho mere haq mein dushmanon ki mujhe mata-e-gham to mere gham-gusar bhi denge kise khabar thi ki aalam-e-zindagi 'maikash' khumar-e-baada-e-ishrat utar bhi denge