phir girani ki hai yalghaar khuda khair kare badh gai garmi-e-bazar khuda khair kare tang aa jaenge muflis to yaqinan ek din honge phir barsar-e-paikar khuda khair kare naksali karte rahe maut ka tandaw har-su aur soti rahi sarkar khuda khair kare kal talak jis ko na tha baat bhi karne ka shuur ab hai wo sahab-e-guftar khuda khair kare aaj phir lut gai ismat kisi doshiza ki surkh hai surkhi-e-akhbar khuda khair kare jis ke dam se hamein aazadi mayassar aai wo zaban ho gai lachaar khuda khair kare intikhabaat ka elan hua hai jab se hosh kho baithe hain ashrar khuda khair kare jin ki izzat thi badi mulk ke netaon mein wo bhi nikle hain siyahkar khuda khair kare hum ko matlub the 'bedar' wafadar magar hum pe hawi hain riya-kar khuda khair kare