silsila jumban ek tanha se ruh kisi tanha ki thi ek aawaz abhi aai thi wo aawaz hawa ki thi be-duniyai ne is dil ki aur bhi duniya-dar kiya dil par aisi tuti duniya tark zara duniya ki thi apne andar hansta hun main aur bahut sharmata hun khun bhi thuka sach-much thuka aur ye sab chaalaki thi apne-ap se jab main gaya hun tab ki riwayat sunta hun aa kar kitne din tak us ki yaad mujhe puchha ki thi hun saudai saudai sa jab se main ne jaana hai tai wo rah-e-sar-e-saudai main ne be-sauda ki thi gard thi begana-gardi ki jo thi nigah meri taham jab bhi koi surat bichhdi aankhon mein nam-naki thi hai ye qissa kitna achchha par main achchha samjhun to ek tha koi jis ne yak-dam ye duniya paida ki thi