sabr wahshat-asar na ho jae kahin sahra bhi ghar na ho jae rashk-e-paigham hai inan-kash-e-dil nama-bar rahbar na ho jae dekho mat dekhiyo ki aaina ghash tumhein dekh kar na ho jae hijr-e-parda-nashin mein marte hain zindagi parda-e-dar na ho jae kasrat-e-sajda se wo naqsh-e-qadam kahin pamal-e-sar na ho jae mere taghir-e-rang ko mat dekh tujh ko apni nazar na ho jae mere aansu na ponchhna dekho kahin daman tar na ho jae baat naseh se karte darta hun ki fughan be-asar na ho jae ai qayamat na aaiyo jab tak wo meri gor par na ho jae mana-e-zulm hai taghaful-e-yar bakht-e-bad ko khabar na ho jae ghair se be-hijab milte ho shab-e-ashiq sahar na ho jae rashk-e-dushman ka faeda malum muft ji ka zarar na ho jae ai dil aahista aah-e-tab-shikan dekh tukde jigar na ho jae 'momin' iman qubul dil se mujhe wo but aazurda gar na ho jae